For Naunihal (1967), Kaifi Azmi wrote the song “Meri Aawaz Suno Pyar ka Raaz Suno” (Hear my voice, hear the secret of love) sung by Mohammad Rafi. The song is picturised over the funeral procession of Prime Minister of India, Jawahar Lal Nehru.
meri aawaz suno meri aawaz suno, pyar ka raag suno meri aawaz suno maine ek phul jo sine pe saja rakha tha uske parde main tumhe dil se laga rakha tha tha juda sabse mere ishq ka adaaz suno meri aawaz suno, meri aawaz suno zindagi bhar mujhe nafrat si rahi ashko se mere khwabo ko tum ashko me dubote kyu ho jo meri tarah jeeya karte hain kab marte hain thak gaya hu mujhe so lene do rote kyu ho so ke bhi jaagte hi rahte hain jabaaj suno meri aawaz suno, meri aawaz suno meri duniya me na purab hain na paschim koi sare insaan simat aaye khuli baaho me kal bhatakta tha main jin raaho me tanha tanha kafile kitne mile aaj unhi raaho me aur sab nikle mere humdam humraaz suno meri aawaz suno, meri aawaz suno naunihal aate hain arthi ko kinare kar lo main jaha tha, inhe jana hain waha se aage aasma inka, jami inki, zamana inka hain kayi inke jahan mere jahan se aage inhe kaliya na kaho, hain ye chamansaaz suno meri aawaz suno, meri aawaz suno kyu sanwari hain ye chandan ki chita mere liye kyu sanwari hain ye chandan ki chita mere liye main koi jism nahi hu ke jalaoge mujhe raakh ke sath bikhar jaunga main duniya me tum jaha khaoge thokar wahi paoge mujhe har kadam par hain naye mod ka aagaz suno meri aawaz suno, pyar ka raag suno maine ek phul jo sine pe saja rakha tha uske parde main tumhe dil se laga rakha tha tha juda sabse mere ishq ka adaaz suno meri aawaz suno, meri aawaz suno meri aawaz suno, meri aawaz suno meri aawaz suno, meri aawaz sunoNaunihal – Meri Aawaz Suno